Ghazal ….. Ibrahim Ashk
Wo jo ik baat mere ishq ki guftaar main hai.
Naqsh dar naqsh wo tareekh ke shehkar main hai.
Zulmat e shab ki ye tasweer badal jaayegi,
Khushnuma rang naya subh ke aasar main hai.
Meri kashti ko sar e mauj dubane waale,
Tune socha hi nahin tu bhi to manjhdhar main hai ?
Yaad uski to hai ik naqsh ba deewar e wafa,
Wo machalta huwa ghar ke dar o deewar main hai.
Ishq main dooba huwa shier agar main likh doon,
Dekhna phir jo nazakat meri talwar main hai.
Tere iqrar se inkar main lazzat hai bahut,
Beniyazi to lage hai teri Raftaar main hai.
Tumne dekhe hain machalte huwe dariya lekin,
Loch aisa to sarapa mere dildar main hai.
Aaj bhi sar hai zamane main bulandi pe mera,
Mere purkhon ki Ana aaj bhi dastaar main hai.
Ik ibadat hai zamane main ghazal ki soorat,
Saadgi Ashk,,. Ghazab ki ye qalamkar main hai.
غزل ۔۔۔۔ ابراہیم اشک
وہ جو اک بات مرے عشق کی گفتار میں ہے
نقش در نقش وہ تاریخ کے شہکار میں ہے
ظلمتِ شب کی یہ تصویر بدل جاٸے گی
خوشنما رنگ نیا صبح کے آثار میں ہے
میری کشتی کو سرِ موج ڈبانے والے
تُو نے سوچا نہیں تُو بھی تو منجدھار میں ہے؟
یاد اُس کی تو ہے اک نقش بہ دیوارِ وفا
وہ مچلتا ہوا گھر کہ درودیوار میں ہے
عشق میں ڈوبا ہوا شعر اگر میں لکھ دوں
دیکھنا پھر جو نزاکت مری تلوار میں ہے
تیرے اقرار سے انکار میں لذت ہے بہت
بے نیازی تو لگے ہے تری رفتار میں ہے
تُو نے دیکھے ہیں مچلتے ہوٸے دریا لیکن
لوچ ایسا تو سراپا مرے دلدار میں ہے
آج بھی سر ہے زمانے میں بلندی پہ مرا
میرے پرکھوں کی انا آج بھی دستار میں ہے
اک عبادت ہے زمانے میں غزل کی صورت
سادگی اشک غضب کی یہ قلمکار میں ہے