Ghazal ……. Ibrahim Ashk
Khalish jo dard ki deewar o dar main rahti hai.
Na jaane kaun si tanhai ghar main rahti hai.
kisi ke lams mehakte hain dasht o sahra main,
Ajeeb taaza si khushbu safar main rahti hai.
kabhi na laati hai khatir main josh e toofan ko,
wo zindgi jo hamesha bhanwar main rahti hai.
Kisi ka ishq chamakta hai meri Aankhon main,
Kisi ki yaad mere dard e sar main rahti hai .
Usi ne door basali hain bastiyan apni,
ke jiski shakl hamesha nazar main rahti hai.
Main jab bhi uske liye mehw e intezaar huwa,
Sadi to jaise mere lamha bhar main rahti hai.
Bikhar gaee jo kahin ishq ki khalaon main,
Wo kaaynat meri chashm e tar main rahti hai.
Tamam umr bhatakte hain log jiske liye,
wo justju to meri rehguzar main rahti hai.
Palat ke dekh lo auraaq e zindgi yaaro,
Ghazal to Ashk,, ke ilm o hunar main rahti hai.
غزل ۔۔۔۔ ابراہیم اشک
خلش جو درد کی دیوار و در میں رہتی ہے
نہ جانے کون سی تنہاٸی گھر میں رہتی ہے
کسی کے لمس مہکتے ہیں دشت و صحرا میں
عجیب تازہ سی خوشبو سفر میں رہتی ہے
کبھی نہ لاتی ہے خاطر میں جوشِ طوفاں کو
وہ زندگی جو ہمیشہ بھنور میں رہتی ہے
کسی کا عشق چمکتا ہے میری آنکھوں میں
کسی کی یاد مرے دردِ سر میں رہتی ہے
اُسی نے دور بسا لی ہیں بستیاں اپنی
کہ جس کی شکل ہمیشہ نظر میں رہتی ہے
میں جب بھی اُس کے لٸے محوِ انتظار ہوا
صدی تو جیسے مرے لمحہ بھر میں رہتی ہے
بکھر گٸی جو کہیں عشق کی خلاٶں میں
وہ کاٸنات مری چشمِ تر میں رہتی ہے
تمام عمر بھٹکتے ہیں لوگ جس کے لٸے
وہ جستجو تو مری رہگزر میں رہتی ہے
پلٹ کے دیکھ لو اوراقِ زندگی یارو
غزل تو اشک کے علم و ہنر میں رہتی ہے