Ghazal …..Ibrahim Ashk.
Barang e laala e sad chak zindgi kar le
Ke khushbuon ke tasalsul se dilbari kar le.
Khushi ko dard banane ki lazzaten mat poochh,
Mile jo dard jahan se use khushi kar le.
Use hi ishq ki kahte hain inteha yaani
Jo sangdil ho usi se hi Aashiqi kar le.
Wahi hai Aashiq e jaanbaz is zamane main,
Jo intezaar ke lamhe ko ik sadi kar le.
Wafaparast ho mehboob to maza hi nahin,
Ke bewafaon se jee bhar ke pyar hi kar le.
Use na bhool ke maabood hai wahi tera,
Kabhi kabhi hi sahi uski bandgi kar le.
Jo tera dushman e jaani ho saari duniya main ,
Gale laga ke muhabbat se dosti kar le.
Har aik lamha muhabbat main doob kar jeena,
Phir uske baad safar apna Aakhri kar le.
Ghulam e Roomi o khusru hai Ashk , ghazlon main,
Rahe jo sab ki zuba’n par wo shayri kar le.