Ghazals

Ghazal… Ibrahim Ashk
Khasta dil ki roz marammat hoti hai.
Humko khud se kitni muhabbat hoti hai.

Gulshan ke to phool hain saare bemaani,
Uske badan main aisi nazakat hoti hai.

Roz kahan danishwar paida hote hain,
Barson main ye ilm ki barkat hoti hai.

Wo tareekh main hardam zinda rahte hain,
Desh ki khatir jinki shahadat hoti hai.

Zulm haden jab apni langhne lagta hai,
Badi natijakhez baghawat hoti hai.

Ishq karo to tumhen pata chal jaayega,
Ye shahron se badhkar daulat hoti hai.

Maa ki har ik dant duwa se hai badh kar,
Uski hansi main saari qudrat hoti hai.

Shayar sab ka dard bayan kar deta hai,
Saare jahan main uski izzat hoti hai.

Sukhanwari to Ashk, khuda ka hai tohfa,
Payambaron ke jaisi Azmat hoti hai.

غزل….. ابراہیم اشک
خستہ دل کی روز مرمت ہوتی ہے
ہم کو خود سے کتنی محبت ہوتی ہے

گلشن کے تو پھول ہیں سارے بے معنی
اُن کے بدن میں ایسی نزاکت ہوتی ہے

روز کہاں دانشور پیدا ہوتے ہیں
برسوں میں یہ علم کی برکت ہوتی ہے

وہ تاریخ میں ہر دم زندہ رہتے ہیں
دیش کی خاطر جن کی شہادت ہوتی ہے

ظلم حدیں جب اپنی لانگھنے لگتا ہے
بڑی نتیجہ خیز بغاوت ہوتی ہے

عشق کرو تو تمہیں پتہ چل جائے گا
یہ شاہوں سے بڑھ کر دولت ہوتی ہے

ماں کی ہر اک ڈانٹ دعا سے ہے بڑھ کر
اس کی ہنسی میں ساری قدرت ہوتی ہے

شاعر سب کا درد بیاں کر دیتا ہے
سارے جہاں میں اس کی عزت ہوتی ہے

سخنوری تو اشک خدا کا ہے تحفہ
پیمبروں کے جیسی عظمت ہوتی ہے