Ghazals

Ghazal……. Ibrahim Ashk.
Zindgi rasm e muhabbat ka tamasha thahri.
Dekhte dekhte Aasaar e qadeema thahri.

Wo jo ik mauj si bahti thi rag e jaa.n main kahin,
Badh gaya lutf e gham e yaar to dariya thahri.

Meri raftaar se bedaar hai Aalam saara,
Ruk gaya main to mere saath ye duniya thahri.

Shirkat e yaar bhala kaise gawara karti,
Hijr ki raat mere saath main tanha thahri.

Zakhm khilte hi gaye gulshan e hasti bankar,
Yaad uski to mere gham ka maseeha thahri.

Mere hamraah wo do char qadam bhi na chali,
Chhod kar saath mera dil ki tamanna thahri.

Jiski dhadkan main ibadat ka junu.n hota hai,
Uski har saans hi karte huwe sajda thahri.

Haqparasti ke liye daar pe chadhna hoga,
Har zamane main yahi rasm e zamana thahri.

Ishq ne tod diye band e qaba ab saare,
Ashk , ye waqt ki Aandhi bhi kahan jaa thahri.