Ghazal ……. Ibrahim Ashk
Dil e daaghdar ko dekhiye ke Ajeeb rang e bahar hai.
Ye bahar hai tere ishq ki, shab e hijr ka ye singhar hai.
Teri dooriyon main wisal tha, teri qurbaton main kamal tha,
Ye usi ka lutf hai aajtak, meri zindgi main khumar hai.
Teri mujh pe koee nazar nahin, mujhe apni koee khabar nahin,
Koee lutf e shaam o sahar nahin, ye jahaan ujda dayar hai.
Ye jo Aabshar hai naghmazan, ye nadi ki mauj ye baankpan,
Mere Rab ka hai ye Azeem fun, ke tilism e jashn e bahar hai.
Ye jo mehki mehki fizayen hain, ye muhabbaton ki duwayen hain,
Kahin dheemi dheemi sadaon main, koee door bajta sitar hai.
Kabhi bulbulon ki sadaon main, kabhi shor ban ke hawaon main,
Ye jo goonjti hai yahan wahan, mere dard e dil ki pukar hai.
Wo gunaah jo nahin ho sake, wo sawab jo kahin kho gaye,
Wo harek Achchha bura Amal, meri zindgi pe udhar hai.
Kabhi Aasma.n ki bulandiyan, kabhi hain zameen ki pastiyan,
Kyun ujadti rahti hain bastiyan, ke har aik gham ka shikar hai.
Kahin fikr o fun ki ziya luti, kahin Ashk dil ki fiza luti,
Jahan harf e jaa.n ki qaba luti, wahin ab ghazal ka mazar hai.
غزل…. ابراہیم اشک
دلِ داغدار کو دیکھئے کہ عجیب رنگِ بہار ہے
یہ بہار ہے ترے عشق کی شبِ ہجر کا یہ سنگھار ہے
تری دوریوں میں وصال تھا تری قربتوں میں کمال تھا
یہ اسی کا لطف ہے آج تک مری زندگی میں خمار ہے
تری مجھ پہ کوئی نظر نہیں مجھے اپنی کوئی خبر نہیں
کوئی لطفِ شام و سحر نہیں یہ جہان اجڑا دیار ہے
یہ جو آبشار ہے نغمہ زن یہ ندی کی موج یہ بانکپن
مرے رب کا ہے یہ عظیم فن کہ طلسمِ جشنِ بہار ہے
یہ جو مہکی مہکی فضائیں ہیں یہ محبتوں کی دعائیں ہیں
کہیں دھیمی دھیمی صداؤں میں کوئی دور بجتا ستار ہے
کبھی بلبلوں کی صداؤں میں کبھی شور بن کے ہواؤں میں
یہ جو گونجتی ہے یہاں وہاں مرے دردِ دل کی پکار ہے
وہ گناہ جو نہیں ہو سکے وہ ثواب جو کہیں کھو گئے
وہ ہر ایک اچھا برا عمل مری زندگی پہ ادھار ہے
کبھی آسماں کی بلندیاں کبھی ہیں زمین کی پستیاں
کیوں اجڑتی رہتی ہیں بستیاں کہ ہر ایک غم کا شکار ہے
کہیں فکر و فن کی ضیا لٹی کہیں اشک دل کی فضا لٹی
جہاں حرفِ جاں کی قبا لٹی وہیں اب غزل کا مزار ہے