Ghazals

Ghazal ……. Ibrahim Ashk
Diwane jo talab ki rah nikle.
Jaha’n se hoke beparwah nikle.

Jise ho ishq main duniya lutana,
Safar main wo mere humrah nikle.

Kisi ka muskura kar dekh lena,
Hum apne dilse karke aah nikle.

Jamal-e-yaar se ho aankh roshan,
Lab-e-izhar se ALLAH nikle.

Yahi hai ab duwa mere labon par,
Teri rahon se meri rah nikle.

Jinhen hum ishq main nadan samjhe,
Wo har ik raaz se aagah nikle.

Mili jinko qalandar ki duwayen,
Wahi shahon se badhkar shaah nikle.

Qasam ALLAH ki jo kha rahe the,
Wahi sabse bade gumrah nikle.

Jaha’n par chaah hoti hai dilon main,
Wahin par “Ashk” koi rah nikle.