Ghazals

Ghazal ….. Ibrahim Ashk
Dard e pinhan to rag e jaan ki Amanat thahra.
Aik shola hai jo anjam e muhabbat thahra.

Mere dil main jo machalta hai wafa ka toofa.n,
Mauj dar mauj wahi meri ibadat thahra.

Wo jo ik lams jise jaan e muhabbat kahiye,
Umr bhar ke liye wo dil ki hararat thahra.

Garmi e ishq main takhleeq huee hai jiski,
Naghma e shauq wahi pyar ki daulat thahra.

Tera milna bhi qayamat se na tha kam jekin,
Ye bichadna bhi meri jaan qayamat thahra.

Uske haathon se jo ik jaam abhi tak na mila,
Bin piye kaise wo pindar e muhabbat thahra.

Jab talak had main rahe kahte hain danishmandi,
Had se badh jaaye agar ishq jahalat thahra.


Intizar e gham e jaanan ki agar baat karen,
Lamha lamha mere jazbe ka shahadat thahra.

Khoob hota hai safar Ashk ghazal main apna,
Kabhi maani, kabhi wusat kabhi Azmat thahra.