Ghazals

Ghazal …… Ibrahim Ashk
Jab tak meri Aankhon main teri jalwagari hai.
Qadmon main do Aalam ki har ik Tajwari hai.

Dekhe to use dekhta rah jaaye zamana,
Soche to koee hoor hai ya koee pari hai.

Wo shakhs ke badnam hai jo shahr e wafa main
Sun kar zara dekho to kare baat khari hai.

Munsif ne bhi ab rasm Adalat ki badal di,
Mazloom hi mujrim hai gunehgar bari hai.

Dekha hai taraqqi ka ajab daur ye hum ne
Samjhane lage andhe ke kya deedawari hai.

Har aik musalma.n ke liye wo jo hai Allah
Hindu ke liye naam usi ka to Hari hai..

Har aik Ada johar e andaz e tilismaat,
Angdai qayamat ki tarah jaadu bhari hai.

Har roz mere gham ka shajar phoola phala hai,
Jo shaakh e tamanna hai muhabbat se hari hai.

Le saans bhi aahista ke nazuk hai bahut kaam,
Ay Ashk, ye duniya to faqat sheeshagari hai.

غزل…. ابراہیم اشک
جب تک مری آنکھوں میں تری جلوہ گری ہے
قدموں میں دوعالم کی ہر اک تاجوری ہے

دیکھے تو اسے دیکھتا رہ جائے زمانہ
سوچے تو کوئی حور ہے یا کوئی پری ہے

وہ شخص کہ بدنام ہے جو شہرِ وفا میں
سن کر ذرا دیکھو تو کرے بات کھری ہے

منصف نے بھی اب رسم عدالت کی بدل دی
مظلوم ہی مجرم ہے گنہگار بری ہے

دیکھا ہے ترقی کا عجب دور یہ ہم نے
سمجھانے لگے اندھے کہ کیا دیدہ وری ہے

ہر ایک مسلماں کے لئے وہ جو ہے اللہ
ہندو کے لئے نام اسی کا تو ہری ہے

ہر ایک ادا جوہرِ اندازِ طلسمات
انگڑائی قیامت کی طرح جادو بھری ہے

ہر روز مرے غم کا شجر پھولا پھلا ہے
جو شاخِ تمنّا ہے محبت سے ہری ہے

لے سانس بھی آہستہ کہ نازک ہے بہت کام
ائے اشک یہ دنیا تو فقط شیشہ گری ہے